Smart phone ka istemal kare Smart Andaz me

 Smart phone ke kuch Hacks kafi madadgar ho sakte h. Behatreen Photo khichne se lekar battery charge karne me yah Aapki help kar sakte hai




1. Auto Rotate Disable kare -

Agar aap Apne Mobile ke Screeb-Rotate function ko hamesha on rakhte h to Ab se aisa karna band kar de Ise chalu rakhne se Accelerometer namak ek sensor ka use hota h jo aapke phone ki battery ka extra use karta h or isi karan se aapke phone ki battery jaldi khatam ho jati h. Isiliye keval jaroorat padne par hi Auto-Rotate function ka use kare jisse aapke mobile ki battery 🔋 jaldi khatam nhi hogi .

2. Naya Filter Aazmaye-

Yah Thoda Azeeb h lekin ise aazmakar jaroor dekhe. Yadi photo lete waqt light bahut adhik ho to phone ke Camera ko dhoop k chasme par rakh kar photo le. Isse photo khoobsurat aayegi or extra light ki problem bhi khatam ho jayegi. 

3. Behtar Audio paye- 

Agar Aapko bhi video banate waqr surrounding voice ki problem hoti h to don't fear. Iske liye aap apne earphone ke mic ka use kar sakte h.

4. Phone Restart kare- 

Agar aapka Phone Hang hota h or sahi kam nhi karta h to aapko ise week me kam se kam 2 ya 3 bar Restart karna chahiye. Esa karne se sare Apps reset ho jayenge or phone ko bhi thoda relax mil jayega. Ese me phone ko restart karna behtar hota h. 

 

Post a Comment

2 Comments